dar-khur-e-qahr-o-ghazab jab koi ham sa na hua
phir ghalat kya hai ki ham sa koi paida na hua
bandagi men bhi vo azada o khud-bin hain ki ham
ulte phir aae dar-e-kaba agar va na hua
sab ko maqbul hai daava tiri yaktai ka
ru-ba-ru koi but-e-aina-sima na hua
kam nahin nazish-e-hamnami-e-chashm-e-khuban
tera bimar bura kya hai gar achchha na hua
siine ka daagh hai vo naala ki lab tak na gaya
khaak ka rizq hai vo qatra ki dariya na hua
naam ka mere hai jo dukh ki kisi ko na mila
kaam men mere hai jo fitna ki barpa na hua
har-bun-e-mu se dam-e-zikr na tapke khuun naab
hamza ka qissa hua ishq ka charcha na hua
qatra men dajla dikhai na de aur juzv men kul
khel ladkon ka hua dida-e-bina na hua
thi khabar garm ki ‘ghalib’ ke udenge purze
dekhne ham bhi gae the pa tamasha na hua
Leave a Reply