daar hai mard-e-anal-haq ka vatan
arsh hai mard-e-ḳhuda ki jagir
rok le abr-e-karam-gustar ko
khinch kar barq-e-tapan ki zanjir
aql ki panja-e-bai.at se nikal
tera murshid tira maula hai zamir
us ke likkhe ko badal sakta hai ishq
jis ki taqdir ho patthar pe lakir
us ka ghar puchhti phirti hai raza
sher-‘afzal’ hai ana mast faqir
Leave a Reply