daam men ham ko laate ho tum dil atka hai aur kahin
sher padhane ham se aur mazmun gatha hai aur kahin
ankhen zara milana idhar ko kyuun ji ye kya baten hain
baat ki ham se uthani lazzat ji ka maza hai aur kahin
haq to hai kuchh hal-e-dil apna kahte hain jab tum se ham
kaan lagae sunte ho par dhyan laga hai aur kahin
dekhiyo ye ayyari koi kya kya ham ko lapete men
vo but-e-pur-fan leta hai dil jis ne diya hai aur kahin
tok ke us se baat karun to yuun vo kahe hai chitvan men
mujh ko na chhedo dhyan aji is vaqt mira hai aur kahin
ham se zabani milne ko tum kahte ho ham jante hain
dil se par aane jaane ka iqrar kiya hai aur kahin
dekh ke ham ko jo kahte ho tum aao baitho baat karo
baten ye sab zahir ki hain uns hua hai aur kahin
ab to kuchh hamdard se mere aate ho tum mujh ko nazar
tum sa shayad koi pyare tum ko mila hai aur kahin
baithe ho mujh paas va-lekin ghabrane se nikle hai
aankh bacha kar uth jaane ka dhyan bandha hai aur kahin
zahir men tum kahte ho mujh ko baitho abhi to jaao na ghar
mujh ko to maalum hai jo paigham gaya hai aur kahin
baten kar ke lagavat ki ye kafir huun gar jhuut kahun
dil ko mire tum lete ho ji nam-e-khuda hai aur kahin
haif hai us ke hone par jo yaad karo tum ghair ko jaan
‘jurat’ men jo nahin so aisi baat vo kya hai aur kahin