dair-o-haram hain manzar-e-a.in-e-iḳhtilaf
haq par sada nazar hai miri hin-e-iḳhtilaf
bairun-e-dar hain surat-o-ma.ani ke parda-dar
hain parda-e-ḳhifa men qavanin-e-iḳhtilaf
hai barqarar gardish-e-dauran-e-rozgar
nairangi-e-ḳhayal hai a.in-e-iḳhtilaf
mamnun-e-rasti hai har ik nuqta-e-nazar
madd-e-nazar jahan men hai tamkin-e-iḳhtilaf
kya para-ha-e-pairahan-e-uns baḳhiya hon
jab hon udheḌ-bun men majanin-e-iḳhtilaf
lazim hamen hai qat-e-nazar madh-o-zam se ab
tahsin-e-ittifaq hai nafrin-e-iḳhtilaf
dildariyan kahan hain vo ‘sahir’ kabhi jo thiin
ḳhatir-shikan hain ab to mazamin-e-iḳhtilaf
Leave a Reply