chust kamar ka kya sabab tang qaba ki vajh kya
ham to hain aap sar-ba-kaf ham se ada ki vajh kya
khaak men jo mila ho khud us pe sitam se kya husul
husn ki ye sarisht hai varna jafa ki vajh kya
apni hain jaisi khaslaten mujh pe bhi hai guman vahi
ye nahin gar sabab to phir tark-e-vafa ki vajh kya
mashrab-e-ishq men dila kufr hai yaar se riya
jab ki buton ka dhyan ho zikr-e-khuda ki vajh kya
aaj kiye hazar qatl kal kiye aur bhi siva
shaghl ye jis nigah ka ho us ko haya ki vajh kya
ruh-o-jasad ka sabiqa kitne dinon ka hai bhala
donon ki jins do hai jab un men vafa ki vajh kya
sadma-e-dard-o-ranj-o-gham tul-e-firaq ka alam
hain ye havadisat chand un ki baqa ki vajh kya
sun len jo vo zahe-nasib gar na sunen to kya gila
hai ye unhin se guftugu tark-e-dua ki vajh kya
malik-e-dil hain jab vahi jab hai unhin ka ikhtiyar
murtakib-e-gunah kyuun jurm-o-khata ki vajh kya
roe hain ham zarur ‘shad’ tab to hai lab pe ah-e-sard
menh na baras gaya to phir thandi hava ki vajh kya
Leave a Reply