chupke se qarib aana phir duur nikal jaana
har pal ka muqaddar hai maazi men badal jaana
kar kar ke tiri baten paḌh paḌh ke tira chehra
har sinf-e-suḳhan sikhi har rang-e-ghazal jaana
ik farz hai hasti par har pal ki pazira.i
tariḳh ka sheva hai sadiyon ko nigal jaana
paḌti hain pahaḌon par suraj ki shua.en jab
mushkil kahan rahta hai phir barf pighal jaana
kirdar ada karna har shaḳhs ko paḌta hai
asan nahin qaumon ki taqdir badal jaana
‘javed’ zaruri hai duniya men andhera bhi
hai maslahat-e-yazdan ye shaam ka Dhal jaana
Leave a Reply