chhedne ham ko yaar aaj aaya
baare kuchh chahl par mizaj aaya
takht shahi ka kis ko bhata hai
khush hamen faqr hi ka taaj aaya
kisht-e-dil fauj-e-gham ne ki taraj
tis pe tu mangne khiraj aaya
tu ne kya kya use ba-tang kiya
le ke tujh tak jo ehtiyaj aaya
ki dava dard-e-dil ki bahuteri
raas koi na par ilaaj aaya
mar gaya kal hi ‘jurat’-e-bimar
tu ayadat ko us ki aaj aaya
Leave a Reply