• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chashm-E-Junun Mein Husn-E-Salasil Hai Be-Qarar

Chashm-E-Junun Mein Husn-E-Salasil Hai Be-Qarar

poet

chashm-e-junun men husn-e-salasil hai be-qarar

kis ki gali men jashn-e-gareban mana.en ham

shayad kisi ka haath baḌhe ban ke mudda.i

ilzam ki talash men daman saja.en ham

rauzan banega dida-e-yaqub ek din

apne liye ḳhud aap hi zindan bana.en ham

chhupne lagi hai ziist andheron ki god men

aao to phir charagh-e-havadis jala.en ham

shahr-e-tarab men milte hain apne bhi naqsh-e-pa

aa.e na gar yaqin to aao dikha.en ham

jalve hi Das rahe hain shu.ur-e-jamal ko

kis ko hadis-e-vadi-e-aiman suna.en ham

dasht-e-talab ke ḳhaar bhi dil men chubhoiye

phir kaise lab pe harf-e-taqaza na laa.en ham

uryan kiya salib ne ham ko bhi apne saath

socha tha asman-e-chaharum pe jaa.en ham

phir garm ret uḌ ke chali bastiyon ki samt

mahmil-nashin ko DhunDh ke sahra men laa.en ham

zahrab ban chuka hai ye ehsas-e-agahi

ab kis ko baḳht dard ka darman bana.en ham

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHwabon Ki Wadiyon Mein Dilon Ko Phirae Hai

abu-mohammad-sahar

Jab Ye dawe The Ki Har dukh Ka Mudawa Ho Gae

luTte Hain Bahut Sahl Ki Din Aise kaDe Hain

arifa-shahzad

Wo Kya Maslahat Thi

poet

Usne Dekha Tha Ajab Ek Tamasha Mujh Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet