chand taare bana ke kaghaz par
khush hue ghar saja ke kaghaz par
bastiyan kyuun talash karte hain
log jangal uga ke kaghaz par
jaane kya ham se kah gaya mausam
khushk patta gira ke kaghaz par
hanste hanste mita diye us ne
shahr kitne basa ke kaghaz par
ham ne chaha ki ham bhi ud jaaen
ek chidiya uda ke kaghaz par
log sahil talash karte hain
ek dariya baha ke kaghaz par
naav suraj ki dhuup ka dariya
tham gae kaise aa ke kaghaz par
khvab bhi khvab ho gae ‘adil’
shakl-o-surat dikha ke kaghaz par
Leave a Reply