• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chamke Hue Hain Diwar-O-Dar Raunaq Hai Bazaron Mein

Chamke Hue Hain Diwar-O-Dar Raunaq Hai Bazaron Mein

chamke hue hain divar-o-dar raunaq hai bazaron men

kaise kaise log aa.e hain kaisi kaisi caron men

main to us ke samne baiTha us ka chehra paḌhta tha

jaane vo kya DhunD raha tha angrezi aḳhbaron men

vo bhi din the jab har chhuTTi tere saath guzarti thi

aaj magar rakkha hi kya hai hafton aur itvaron men

jaane kis farhad ka tesha kis ke jigar ko chiir gaya

ḳhuun ki dharen dekh raha huun patthar ki divaron men

jin logon ke aql-o-hunar ki dhuum machi thi aalam men

un ko bhi dekha hai rusva shahon ke darbaron men

phuul se chehre shaḳh si banhen jab galiyon men milti hain

kaun bhala phir sair ko jaa.e hare-bhare gulzaron men

to meri ma.asum nazar ko bul-havasi ka dosh na de

main to ḳhud ko dekh raha huun tere hasin ruḳhsaron men

aao un ko bahar la kar taaza hava men biThla.en

log chhupe baiThe hain kab se apni zaat ke gharon men

ab ke to ‘betab’ muri men kuchh kuchh aag barasti thi

jalte sahra aa nikle the bhige hue kohsaron men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

adil-hayat

Manzar

Teri Nisbat Se Apni Zat Ka Idrak Karne Mein

ahmad-nadeem-qasmi

Ehsas Mein Phul Khil Rahe Hain

Agar Wo Hadisa Phir Se Hua To

poet

Na Koi Nilam Na Koi Hira Na Motiyon Ki Bahaar Dekhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet