main na kahta tha tum se rah men chhod jaogi
ishq ik riyazat hai kaise thair paogi
aag ka ye dariya hai kyuun kar tair paogi
main na kahta tha tum se
ishq ik ibadat hai payambari amanat hai
kharon se ye pur rasta
kab talak chalogi tum
saath chhod jaogi
main na kahta tha tum se
khauf khata rahta huun
makr se dagha se main
aise dost se bhi jo
kashtiyan dubote hain
beach men samundar ke
main na kahta tha tum se
pahle soch lo sau baar
badban ke uthne se
tufan ke beach jaane se
chhod to na jaogi darmiyan samundar ke
aur tum ne har ik baar ye yaqin dilaya tha
saath jiine marne ki laakh qasmen khaai thiin
aur main ki saada dil aa gaya tha baton men
ansuon men aahon men
jhuut ki kathaon men
jaan kar sabhi kuchh ki
pahle panch kashti men chhed kar ke baithi ho
par tumhari surat jo
taebon si lagti thi
de gai fareb akhir
aur phir jo hona tha ho raha ik din
tum ko chhal hi karna tha
kaise baaz rahti tum
sad.ha vaade kar ke bhi
laakh qasmen kha ke bhi
darmiyan samundar ke
mauj men thapedon ke
chhed kar ke kashti men
satven main ja baithi
main na kahta tha tum se
par nahin nahin ab to
ab main tum se kahta huun
ishq ik safina hai
bahr-e-be-karan ho ya
pur-khatar samundar ho
paar khud utarna hai
tum karo ab apni fikr
kashtiyan badalne ki
athvin ya nauvin ki
manjhi dhund laane ki
koi makr karne ki
main ki ek sada-dil
ishq par yaqin avval ishq par yaqin akhir
Leave a Reply