chamke hain sab ke bakht tiri jalva-gah men
vaan kuchh nahin tamiz safed-o-siyah men
rahmat jhalak rahi hai ghazab ki nigah men
dil pa raha hai lazzat-e-taat gunah men
hain jab tujhi pe shaikh-o-barahman mite hue
phir farq kya hai but-kada-o-khanqah men
pahle vahi bahisht men jaae to lutf hai
sabqat hui hai jis ki taraf se gunah men
bande huun taaki khilat-e-rahmat ke mustahiq
bhar di hai kuut kuut ke lazzat gunah men
tasir-e-ah-o-nala to maalum haan magar
dil ka bukhar khuub nikalta hai aah men
‘mushtaq’ aae raah pe vo shokh ya na aae
apni taraf se farq na aae nibah men