chal raha huun pesh-o-pas-manzar se uktaya hua
ek se din raat ke chakkar se uktaya hua
be-dili hoshyar pahunchi mujh se pahle thi vahan
men gaya jis anjuman men ghar se uktaya hua
ho nahin paaya hai samjhauta kabhi donon ke biich
jhuuT andar se hai sach bahar se uktaya hua
ab muzayyan hai talaffuz se avamunnas ke
sher sarf-o-nahv ke chakkar se uktaya hua
ḳhvahish-e-ijad hai apne ma.ani ki use
lag raha ye fe.al hai masdar se uktaya hua
chubh rahe hain aankh men ḳhvab-e-pareshan raft ke
jism hai is niind ke bistar se uktaya hua
umr lekin ra.egan ki us ke jama o ḳharch men
tha hamesha zehn chize-zar se uktaya hua
aaj phir paḌhta huun maktab men na.e ustad se
kal tha jin asbaq ke azbar se uktaya hua
zaat apni in men rakhta huun barabar munqasim
dil mira hai bahs-e-ḳhair-o-shar se uktaya hua
Leave a Reply