• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chain Ho Ya Bechaini Ho Pahle Dil Ghabraega

Chain Ho Ya Bechaini Ho Pahle Dil Ghabraega

chain ho ya bechaini ho pahle dil ghabra.ega

jaate jaate ja.egi aate aate aa.ega

qasid aane jaane men thak thak kar ghabra.ega

ja.ega phir aa.ega aa.ega phir ja.ega

DhunDne vaali nazron nazron dekhenge pahlu ki taraf

un ki is dil-jui par mera dil itra.ega

dil men ummiden lakhon thiin kuchh niklin hain kuchh baaqi hain

ḳhair kabhi phir aaoge phir kabhi dekha ja.ega

dair-o-haram ke malik se ham kuchh mangen bhi to sahi

hai vo baḌa dene vaala dega ya dilva.ega

dil ke ḳhud azar-o-alam dil ki qadr baḌha.enge

hoga ye iksir magar ḳhaak men jab mil ja.ega

naseh aane vaala hai do hi baten honi hain

ya use ham samjha.enge ya vo hamen samjha.ega

shikva-e-gham ki mahshar men ham ko to ummid nahin

samne vo aa ja.enge hosh kise rah ja.ega

dil dene vaala gham se chhuT ja.ega dil de kar

dil lene vaala dil men dil le kar pachhta.ega

‘nuh’ ke rone par hansna bedardon ka ḳhvab nahin

bahr-e-mohabbat men is se aur bhi tufan aa.ega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rang Laya Diwana-Pan Mera

Kyun Malamat Ka Hadaf Gardish-E-Paimana Bane

Sochne Ka Bhi Nahin Waqt Mayassar Mujhko

poet

ruKH Nazar Ka Kabhi Idhar Na Hua

Idhar Mahsus Hoti Hai Kami Uski

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet