chaha jin ko bhi zindagi ki tarah
vo mile mujh ko ajnabi ki tarah
mujh ko ilham ho gaya shayad
baat karta huun ik nabi ki tarah
jaane kitne saval ubhre hain
jab bhi socha hai falsafi ki tarah
saara manzar nikharta jaata hai
kaun hansta hai aap hi ki tarah
ḳhuub charcha hai go saveron ka
raat phir bhi hai raat hi ki tarah
vaqt ki baat hai ki ab tum bhi
ham se milte ho ajnabi ki tarah
ye darindon ka shahr hai is men
kaun milta hai aadmi ki tarah
Leave a Reply