• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bajae Ham-Safri Itna Rabta Hai Bahut

Bajae Ham-Safri Itna Rabta Hai Bahut

baja.e ham-safri itna rabta hai bahut

ki mere haq men tiri be-zarar dua hai bahut

thi paanv men koi zanjir bach ga.e varna

ram-e-hava ka tamasha yahan raha hai bahut

ye moḌ kaaT ke manzil ka aks dekhoge

isi jagah magar imkan-e-hadsa hai bahut

bas ek chiḳh hi yuun to hamen ada kar de

muamla hunar-e-harf ka juda hai bahut

miri ḳhushi ka vo kya kya ḳhayal rakhta hai

ki jaise meri tabi.at se ashna hai bahut

tamam umr jinhen ham ne TuuT kar chaha

hamare hathon unhin par sitam hua hai bahut

zara chhua tha ki bas peḌ aa gira mujh par

kahan ḳhabar thi ki andar se khokhla hai bahut

koi khaḌa hai miri tarah bhiiḌ men tanha

nazar bacha ke miri samt dekhta hai bahut

ye ehtiyat-kada hai kaḌe usulon ka

zara se naqs pe ‘bani’ yahan saza hai bahut

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shab Ki Dahliz Se Kis Hath Ne Phenka Patthar

Nahin Tha Koi Sitara Tere Barabar Bhi

Jo Chehre Ki banawaT Se Yun Zulfon Ko haTati Ho

Lahu Ki Aag Agar Jalti Rahegi

Nikhar Aai Nikhaar Aai Sanwar Aai Sanwar Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet