chak-e-daman se gareban aur kitni duur hai
ai miri vahshat bayaban aur kitni duur hai
ai shab-e-gham gardish-e-ayyam ki tujh ko qasam
kuchh bata sub.h-e-baharan aur kitni duur hai
aa gaya huun sarhad-e-imkan tak le kar lahu
jaane ab sehn-e-gulistan aur kitni duur hai
azma.ish se guzarta ja raha huun josh men
kya pata dariya-e-imkan aur kitni duur hai
bosa-e-zanjir meri aḳhiri manzil hai ab
dekhta huun mujh se zindan aur kitni duur hai
main mashaqqat kar raha huun ab zamin-e-dil pe bhi
vo tira aks-e-farozan aur kitni duur hai
ruuh ki tathir kar ke dekhte jaana ‘taraz’
matla-e-anvar-e-irfan aur kitni duur hai
Leave a Reply