mimbaron par bhi gunahgar nazar aate hain
sab qayamat ke hi asar nazar aate hain
in masihaon se allah bacha.e ham ko
shakl-o-surat se jo bimar nazar aate hain
jaane kya TuuT gaya hai ki har ik raat mujhe
ḳhvab men gumbad-o-minar nazar aate hain
maat dete hain yazidon ko lahu se ham hi
ham hi nezon pe har ik baar nazar aate hain
aankh kholi hai fasadat men jin bachchon ne
un ko ḳhvabon men bhi hathiyar nazar aate hain
Leave a Reply