chak-dil ho koi ya ḳhak-basar kya hoga
jis ko ehsas nahin us ko asar kya hoga
hasil-e-dard ba-juz dida-e-tar kya hoga
nahin malum yahan apna guzar kya hoga
pahle aghaz-e-shab-e-gham to samajh men aa.e
baad ki baat hai hangam-e-sahar kya hoga
dekh kar rang-e-jahan-e-guzaran hairan huun
jab ye aalam hai idhar ka to udhar kya hoga
zindagi zauq-e-safar tark nahin kar sakti
soch kar kya karun anjam-e-safar kya hoga
aap to ḳhair se barsat ka suraj Thahre
ham gharibon ki umidon ka magar kya hoga
is se to ruuh sanvarti hai nazar banti hai
koi jalva bhi tira sarf-e-nazar kya hoga
duur tak vaqt ki rahon men andhera hai abhi
dil na sulge to charaghon ka asar kya hoga
zindagi aur sukun ek khula dhoka hai
saans jab tak hai kashakash se mafar kya hoga
ḳhuun dil ka na ho ta.amir men jab tak shamil
mo’atabar koi bhi andaz-e-nazar kya hoga
vaqt ke saath chale jaate hain jaane vaale
sochte rahte hain sab zindagi bhar kya hoga
‘shauq’ azar-talab fitrat-e-dil hai apni
laakh ham chahenge aram magar kya hoga
Leave a Reply