buri aur bhali sab guzar ja.egi
ye kashti yunhi paar utar ja.egi
milega na gulchin ko gul ka pata
har ik pankhuḌi yuun bikhar ja.egi
rahenge na mallah ye din sada
koi din men ganga utar ja.egi
idhar ek ham aur zamana udhar
ye baazi to so bisve har ja.egi
banavaT ki sheḳhi nahin rahti shaiḳh
ye izzat to ja.egi par ja.egi
na puuri hui hain umiden na hon
yunhi umr saari guzar ja.egi
sunenge na ‘hali’ ki kab tak sada
yahi ek din kaam kar ja.egi
Leave a Reply