buund paani ki huun thoḌi si hava hai mujh men
is biza.at pe bhi kya turfa ana hai mujh men
ye jo ik hashr shab-o-roz bapa hai mujh men
ho na ho aur bhi kuchh mere siva hai mujh men
safha-e-dahr pe ik raaz ki tahrir huun main
har koi paḌh nahin sakta jo likha hai mujh men
kabhi shabnam ki latafat kabhi sho.ale ki lapak
lamha lamha ye badalta hua kya hai mujh men
shahr ka shahr ho jab arsa-e-mahshar ki tarah
kaun sunta hai jo kohram macha hai mujh men
toḌ kar saaz ko sharminda-e-mizrab na kar
ab na jhankar hai koi na sada hai mujh men
vaqt ne kar diya ‘sabir’ mujhe sahra-ba-kanar
ik zamane men samundar bhi baha hai mujh men
Leave a Reply