• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere Hathon Mein Ubhra Hai Ye Naqsha Kis Tarah Ka Hai

Mere Hathon Mein Ubhra Hai Ye Naqsha Kis Tarah Ka Hai

aisha-ayyub

mire hathon men ubhra hai ye naqsha kis tarah ka hai

miri ankhon men Thahra hai ye dariya kis tarah ka hai

ye mera jism hai azad lekin ruuh qaidi hai

ḳhudaya koi batlae ye pinjra kis tarah ka hai

miri aahon ko mere qahqahon ne dhank rakkha hai

miri is laash ke uupar ye malba kis tarah ka hai

hai jin men bojh duniya bhar ka maz.hab ke havalon se

mire bachchon ke kandhe par ye basta kis tarah ka hai

tumhen malum bhi hai ki vo niyyat ko parakhta hai

ye kis lalach men karte ho ye sajda kis tarah ka hai

main ḳhud ko dhundne nikli thi kuchh bikhre varaq le kar

tire andar huun ja pahunchi ye naqsha kis tarah ka hai

hamen avaz dena hai nabi ko janib-e-mahshar

ḳhuda avaz de jis ko vo banda kis tarah ka hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Alag Baat Ki Taklif baDha Deta Hai

kishwar-naheed

Aakhiri Faisla

poet

Tere Kuche Ka Rahnuma Chahta Hun

KHun-E-Dil Hota Hai Hone Dijiye

poet

Le Chuke Dil to Jang Kya Hai Ab

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet