bujhi hai atish-e-rang-e-bahar ahista ahista
gire hain shola-e-gul se sharar ahista ahista
vo ik qatra ki barg-e-dil pe shabnam sa larazta tha
hua hai bahr-e-na-paida-kanar ahista ahista
kabhi shor-e-qayamat gosh-e-inshan tak bhi pahunchega
koi sayyara badlega madar ahista ahista
uḌa hai rafta rafta rang tasvir-e-mohabbat ka
hui hai rasm-e-ulfat be-viqar ahista ahista
sarab-e-arzu men phir koi manzar bhi chamkega
uThegi dasht se mauj-e-ghubar ahista ahista
bahut din tak salasil ki sada aa.i hai zindan se
mila hai be-qararon ko qarar ahista ahista
vo sab arbab-e-jazb-o-shauq jin par naaz tha ham ko
hue hain hosh-mandi ke shikar ahista ahista
kabhi malhuz ham ko bhi suḳhan men rabt-e-ma.ani tha
hua hai zahr-e-gham ashufta-kar ahista ahista
kahin yaaro tumhen phir gahri yasiyyat na chhu jaa.e
raho rah-e-talab men mahv-e-kar ahista ahista
Leave a Reply