bujhe labon pe tabassum ke gul sajata hua
mahak uTha huun main tujh ko ghazal men laata hua
ujaaḌ dasht se ye kaun aaj guzra hai
ga.i ruton ki vahi ḳhushbuen luTata hua
tumhare hathon se chhuT kar na jaane kab se main
bhaTak raha huun ḳhalaon men TimTimata hua
nigal na jaa.e kahin be-ruḳhi mujhe teri
ki ro paḌa huun main ab ke tujhe hansata hua
tu shahzadi mahakte hue ujalon ki
main ek ḳhvab andheron ki choT khata hua
mira badan ye kisi barf ke badan sa hai
pighal na ja.un main tujh ko gale lagata hua
tumhari ankhon ka paani kahin na ban ja.un
main Dar raha huun bahut dastan sunata hua
Leave a Reply