bosa dete ho agar tum mujh ko do do sab ke do
jiibh ke do sir ke do rukhsar ke do sab ke do
le ke do rukhsar ke bose jo mange sab ke do
aur to de denge bole par ye hain be-dhab ke do
mangte tujh se nahin ai gul-badan kuchh aur ham
hai agar taufiq tum bose do nam-e-rab ke do
rozon men gar paas apne aae vo rashk-e-qamar
bosa ham iftar ko mangen lab-e-atyab ke do
misal-e-yusuf ho raha huun main asir-e-chah-e-gham
bosa ai rashk-e-zulekha do mujhe abab ke do
main nahin huun mangta das biis tum se ya pachas
sirf do bosa lab-e-shirin ke hans kar ab ke do
hai khushi ye aap ki ai mah-ru do ya na do
kaun kahta hai ki tum bose kisi se dab ke do
do do kar ke bosa-e-mauud jab main ne gine
hans ke puchha hain ikatthe ye kiye kab kab ke do
tab kaha main ne ki sun lo sher men kya sharm hai
subh ke do shaam ke do din ke do aur shab ke do
donon rukhsaron ke bose lenge ham ai sim-tan
do hamen is dhab ke do tum aur do is dhab ke do
‘mashriqi’ maashuq do pachchhim ke mahfil men ho gar
do deccan ke chahiyen uttar ke do purab ke do
Leave a Reply