• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Boiye Mazra-E-dil Mein Jo Inayat Ke Bij

Boiye Mazra-E-dil Mein Jo Inayat Ke Bij

mushafi-ghulam-hamdani

boiye mazra-e-dil men jo inayat ke biij

to na hon sabz kabhi apni shikayat ke biij

ham ne is mazraa-e-hasti men kiye hain jo amal

ek din khinchenge sar un ki mukafat ke biij

aah dahqan-e-falak ki kahun kya bad-tukhmi

khak-e-adam men ye nit bove hai afat ke biij

baghban jab taiin haath aave tire bazr-ul-banj

meri turbat pe na bo aur nabatat ke biij

valad-ul-qahba se puchho na, tiri zaat hai kya

biij men us ke hain makhlut kai zaat ke biij

daagh siine ke mire turfa dikhate hain bahar

hain ye boe hue kis nakhl-e-tilismat ke biij

bistar-e-shaikh pe jo konch ki phalliyan niklin

the chhupae hue shayad usi bad-zat ke biij

un ko kya hove hai juz rizq-e-pareshan hasil

ja-ba-ja bote phiren hain jo mulaqat ke biij

‘mushafi’ is se bhi behtar ghazal ik aur suna

vadi-e-fikr men bo kar tu khayalat ke biij

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sheikh Saadi

Story 19 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

Har Nafas Taza Musibat Umr Bhar Dekha Kiye

Hail Hai Hijab-E-Sharm-O-Haya Didar to Kya Guftar to Kya

Tum Jo Chhaalon Ki Baat Karte Ho

ali-sardar-jafri

Shaikast-E-Shauq Ko Takmil-E-Arzu Kahiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet