bim-o-raja men qaid har ik mah-o-sal hai
jaise ye zindagi bhi koi yarghamal hai
uljha huun aati jaati sadaon se barha
bichhḌa huun har nava se ki ḳhvab-o-ḳhayal hai
TuuTa huun is tarah ki bikharta chala gaya
bikhra huun is tarah ki sanvarna muhal hai
is jabr-o-iḳhtiyar se pamal main bhi huun
ai ruh-e-ehtijaj bata kya ḳhayal hai
viran rahguzar pe uḌti hai roz ḳhaak
ab tak miri talash men bad-e-shimal hai
surat-gari ke shauq ne gumrah kar diya
ab main miri jabin mira dast-e-saval hai
bas yunhi mat guzar kabhi sahba se baat kar
kahte hain us se milna baḌa nek faal hai
Leave a Reply