bichhaḌ ke tujh se na jiite hain aur na marte hain
ajiib tarah ke bas hadse guzarte hain
zamin chhoḌ na pa.unga intizar ye hai
vo asman se dharti pe kab utarte hain
ye kis ne khinch di sanson ki laxman-rekha
ki jism jalta hai bahar jo paanv dharte hain
ye chand taare zamin aur aftab tamam
tavaf karte hain kis ka tavaf karte hain?
hayat deti hain sansen bas ik maqam talak
phir is ke ba.ad to bas saans saans marte hain
Leave a Reply