bhulun tumhen vo bashar nahin huun
itna bhi be-khabar nahin huun
allah re fart-e-kahish-e-tan
har-chand ki huun magar nahin huun
dikhlai na duun ye ghair-mumkin
kuchh aap ki main kamar nahin huun
behal kahe na jaane dunga
ashiq huun nama-bar nahin huun
Leave a Reply