bhule hue hain sab ki hai kar-e-jahan bahut
lekin vo ek yaad hai dil par garan bahut
kuchh raftagan ke gham ne bhi rakkha hamen niDhal
kuchh sadma-ha-e-nau se rahe nim-jan bahut
ham ko na zulf-e-yar na divar se gharaz
ham ko to yad-e-yar ki parchha.iyan bahut
vo sard-mehriyan ki hamen raakh kar ga.iin
sunte hain pahle ham bhi the atish-ba-jan bahut
ik mauj-e-fitna-sar ki ravan har nafas men hai
har dam yaqin se pahle uThe hain guman bahut
ab ke junun men mauj-e-saba ka bhi haath hai
mauj-e-saba ki ab ke uThi sargiran bahut
ab ye ḳhabar nahin vo samundar hai ya sarab
apne yahan hai tishnagi-e-jism-o-jan bahut
sahra se varna apna ilaqa nahin hai kuchh
ashuftagi-e-sar ki hava hai yahan bahut
Leave a Reply