bhuul kar bhi idhar nahin aata
vo kabhi raah par nahin aata
kis ka jalva nazar se guzra hai
ki mujhe kuchh nazar nahin aata
charkh-e-gardish se thak gaya shab-e-hijr
din nikalta nazar nahin aata
bah gaya dil to gham nahin ai chashm
kaam men kya jigar nahin aata
huun shab-e-vasl is qadar be-khud
bim-e-marg-e-sahar nahin aata
kis gali men chala huun marne ko
shauq men kuchh nazar nahin aata
tera kucha agar bahisht nahin
ja ke kyuun nama-bar nahin aata
pher deni chhuri to aati hai
lutf-e-sayyad agar nahin aata
nau-giraftari-e-musibat dekh
ham ko naala bhi kar nahin aata
dil ko kya jaane kya hua ‘salik’
chain kyuun rat-bhar nahin aata
Leave a Reply