• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / bhaTki Hai Ujalon Mein Nazar Sham Se Pahle

bhaTki Hai Ujalon Mein Nazar Sham Se Pahle

bhaTki hai ujalon men nazar shaam se pahle

ye shaam Dhale ka sa asar shaam se pahle

sakte men sisakte hue tabut khulenge

achchha hai nikal jaa.e ye Dar shaam se pahle

vo razmiya paḌhte hain vo uksate hain mujh ko

jaati hui kirnon ke bhanvar shaam se pahle

main Tiile pe baiTha to suni shahr ki siski

dekhe mire angan mire ghar shaam se pahle

ai sub.h ke taare ki ziya os ki ThanDak

ik roz miri chhat pe utar shaam se pahle

is baar shab-e-char-dahum kuchh to parakhna

phir kaaT na dena mire par shaam se pahle

vo qumqume bazar ke mujh se hain shanasa

us samt bhi jaata huun magar shaam se pahle

main dard ke qasbe men bahut der se pahuncha

bik jaate hain sab taaza samar shaam se pahle

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tamiz Apne Mein Ghair Mein Kya Tumhein Jo Apna Na Kar Sake Hum

poet

Har Aan Yas baDhni Har Dam Umid ghaTni

Ret Se Aandhiyon Ka jhagDa Tha

faiz-ahmad-faiz

August-1952

neel-ahmed

Chingariyon Ka Raqs

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet