bevafa hai vo kabhi pyaar nahin kar sakta
haan magar pyaar se inkar nahin kar sakta
apni himmat ko jo patvar nahin kar sakta
vo samundar ko kabhi paar nahin kar sakta
jo kisi aur ke jalvon ka tamannai ho
vo kabhi bhi tira didar nahin kar sakta
honT kuchh kahne ko betab hain kab se lekin
us ki aadat hai vo iz.har nahin kar sakta
us ki chahat pe bharosa hai mujhe mere siva
vo kisi aur ko haqdar nahin kar sakta
us ko ma.alum hai vo ḳhud bhi to rusva hoga
mujh ko rusva sar-e-bazar nahin kar sakta
vaqt paḌ jaae to vo jaan bhi de sakta hai
fan ka sauda koi inkar nahin kar sakta
Leave a Reply