Be-Wajh Zulm Sahne Ki Aadat Nahin Rahi

be-vaj.h zulm sahne kī aadat nahīñ rahī

ab ham ko dushmanoñ kī zarūrat nahīñ rahī

vo bhī hamāre naam se begāne ho ga.e

ham ko bhī sach hai un se mohabbat nahīñ rahī

rahbar tamām mulk ke nazroñ se gir ga.e

āñkheñ khulīñ to dil meñ aqīdat nahīñ rahī

aisā nahīñ ki un se mohabbat na ho magar

pahle sā josh pahle sī shiddat nahīñ rahī

qurbat meñ uljhaneñ thiiñ bahut rañj the bahut

milnā nahīñ rahā to shikāyat nahīñ rahī

Leave a Comment