be-sada kyunkar hua be-dast-o-pa kyunkar hua
main qafas men bhi na tha phir bhi riha kyunkar hua
ashna jitne bhi the na-ashna kyunkar hue
hadisa ye bhi hua kaise hua kyunkar hua
sub.h ki pahli kiran mehr-e-munavvar kab hui
har bagula mauja-e-bad-e-saba kyunkar hua
bam-o-dar par ja-ba-ja parchha.iyon ke aks the
ghar ka ye manzar bhi lekin ḳhushnuma kyunkar hua
Dubna Thahra to phir kachche ghaḌe ki shart kya
vo sada ka sang-dil dard-ashna kyunkar hua
sho.abada-bazi kahan kar-e-masiha.i hui
aadmi jab aadmi Thahra ḳhuda kyunkar hua
ḳhamushi kitne hi jazbon ka pata deti rahi
naala gar paband-e-nai tha na-rasa kyunkar hua
Leave a Reply