be-ruḳhi hi be-ruḳhi hai har taraf
bikhri bikhri zindagi hai har taraf
dushmani hi dushmani hai har taraf
aag nafrat ki lagi hai har taraf
kis ne ye jiina ajiran kar diya
ḳhauf dahshat sansani hai har taraf
koi shai bhi ab nahin hai mashriqi
rang sab ka maghribi hai har taraf
baat jo dil men hai kah sakte nahin
kaisi apni bebasi hai har taraf
aadmi men adamiyat tak nahin
baat achchhi kaun si hai har taraf
jis men ‘robina’ nahin hai fikr-o-fan
kya kahen kya sha.iri hai har taraf
Leave a Reply