be-qasd safar jaate hain ma.alum nahin kyuun
phir ḳhud hi Thahar jaate hain ma.alum nahin kyuun
ham pyaar se jiine ki dua dete hain jin ko
vo log bhi mar jaate hain ma.alum nahin kyuun
kuchh log tujhe dekh ke ai fasl-e-baharan
ba-dida-e-tar jaate hain ma.alum nahin kyuun
ik vahm samajhte the haqiqat ko jo kal tak
ab ḳhvab se Dar jaate hain ma.alum nahin kyuun
utre hue chehron ko bhi ye kahte suna hai
kuchh ham se bhi Dar jaate hain ma.alum nahin kyuun
ik silsila ashk hai shabnam magar is se
gulzar nikhar jaate hain ma.alum nahin kyuun
manzil ki taraf rah-e-mohabbat ke musafir
be-raḳht-e-safar jaate hain ma.alum nahin kyuun
kuchh dekh ke kuchh soch ke kuchh log jahan se
chup-chap guzar jaate hain ma.alum nahin kyuun
kashti ko Dubo kar usi kashti ke muhafiz
ḳhud paar utar jaate hain ma.alum nahin kyuun
ghar men koi aram ki surat nahin phir bhi
thak-har ke ghar jaate hain ma.alum nahin kyuun
haan aks-e-ruḳh-e-sang-zada se bhi to ai ‘lais’
a.ine sanvar jaate hain ma.alum nahin kyuun
Leave a Reply