be-niyaz naghma-e-duniya huun main
apne dil ki dhaḌkanen sunta huun main
vadi-e-qirtas men bahta huun main
abshar-e-fikr ka dariya huun main
dida-e-be-ḳhvab anjum ki tarah
rut koi ho jagta rahta huun main
a.ine ke ru-ba-ru hairan huun
jaane kis ka gum-shuda chehra huun main
sar-bulandi kyuun na ho mujh ko ata
apne sar maan ki dua rakhta huun main
jaane kyuun ḳhud bhi nigahon ki tarah
un ki rahon men bichha jaata huun main
vo mujhe bahla rahe hain yuun ‘vali’
jaise koi na-samajh bachcha huun main
Leave a Reply