be-nashsha bahak raha huun kab se
dozaḳh huun dahak raha huun kab se
patthar hue kaan maut ke bhi
suuli pe laTak raha huun kab se
jhaḌti nahin gard agahi ki
daman ko jhaTak raha huun kab se
lahore ke khanDaron men yarab
bulbul sa chahak raha huun kab se
raushan na huiin ghazal ki sham.en
sho.ala sa bhaḌak raha huun kab se
tarik hain raste vafa ke
suraj sa chamak raha huun kab se
TuuTa na fasurdagi ka jaadu
ghuncha sa chaTak raha huun kab se
jalta nahin be-kasi ka ḳhirman
bijli sa lapak raha huun kab se
is hirs-o-hava ki tirgi men
sona sa damak raha huun kab se
sunsan hai vadi-e-takallum
badal sa kaḌak raha huun kab se
basti koi ho to mil bhi jaa.e
sahra men bhaTak raha huun kab se
gulchin koi ho to qadr jaane
jangal men mahak raha huun kab se
haan ai gham-e-ishq mujh ko pahchan
dil ban ke dhaḌak raha huun kab se
paimana-e-umr ki tarah se
har lamha chhalak raha huun kab se
malum ye ab hua ki ‘shohrat’
divana huun bak raha huun kab se
Leave a Reply