be-laus mohabbat ka sila DhunDh raha huun
nadan huun ye is shahr men kya DhunDh raha huun
ik moḌ pe TuuTe hue khanDar se makan men
guzre hue lamhon ka pata DhunDh raha huun
muddat se ye ḳhanjar mire siine men hai aur main
riste hue zaḳhmon ki dava DhunDh raha huun
divana jise sang-tarashi ka junun hai
kahta hai ki patthar men ḳhuda DhunDh raha huun
munsif tire insaf se vaqif huun tabhi to
na-karda gunahon ki saza DhunDh raha huun
ye shaam aur us par tiri yadon ki halavat
ik jaam men do shai ka nasha DhunDh raha huun
Leave a Reply