be-ḳhabar sa.eban abhi tak hai
dhuup mujh par yahan abhi tak hai
mere hone ka kya yaqin use
ḳhud mujhe bhi guman abhi tak hai
raaz to khul gaya zamane par
aur vo raz-dan abhi tak hai
aaj bhi to vahi hai nahr-e-furat
kya vahi hukmaran abhi tak hai
sab to sairab ho ga.e ‘manzar’
kyuun ye ju-e-ravan abhi tak hai
Leave a Reply