• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Be-KHabar Duniya Ko Rahne Do KHabar Karte Ho Kyun

Be-KHabar Duniya Ko Rahne Do KHabar Karte Ho Kyun

be-ḳhabar duniya ko rahne do ḳhabar karte ho kyuun

dosto mere dukhon ko mushtahar karte ho kyuun

koi darvaza na kholega sada-e-dard par

bastiyon men shor-o-ghul shaam o sahar karte ho kyuun

mujh se ghurbat mol le kar kaun ghar le ja.ega

tum mujhe rusva sar-e-bazar-e-zar karte ho kyuun

aankh ke andhon ko kyuun dikhlate ho parvaz-e-harf

kaghazon pe ab tamasha-e-hunar karte ho kyuun

tazkira likhte ho kya meri shikast-o-reḳht ka

lafz ki basti men ma.ani ko khanDar karte ho kyuun

dosto! bina.i baḳhshegi tumhen un ki uḌaan

panchhiyon ko chhoḌ do be-bal-o-par karte ho kyuun

lafz agar bote to phir fasl-e-ma.ani kaTte

dosto! ab shikva-e-ahl-e-hunar karte ho kyuun

zalimon ke saath mil jaao rahoge aish men

umr ‘sajid’ kasmapursi men basar karte ho kyuun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mera Dil Dad-KHwah-E-Zulm Aslan Ho Nahin Sakta

Sare zaKHmon Ko Zaban Mil Gai Gham Bolte Hain

Azab TuTe Dilon Ko Har Ek Nafas Guzra

poet

Banda-Parwar Jo Na Pachhtaiyega

Wasl Ki Banti Hain in Baaton Se Tadbiren Kahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet