na.e mausamon main Dhal kar dekhna tha
hamen ḳhud ko badal kar dekhna tha
bala ki ḳhubsurat hai ye duniya
ise ghar se nikal kar dekhna tha
bahut mumkin tha raste raas aate
hamen kuchh duur chal kar dekhna tha
ham apne-ap se ukta ga.e hain
hamen ḳhud se nikal kar dekhna tha
un ankhon ko ghalat lat lag ga.i hai
hasin manzar sambhal kar dekhna tha
buton par tabsira karne se pahle
tumhen patthar men Dhal kar dekhna tha
Leave a Reply