be-kasi men asar yagana hai
dil bhi us ka nahin begana hai
gharaz a.ina-dari-e-dil se
tera jalva tujhe dikhana hai
misl-e-naqsh-e-qadam men jab ta.iin huun
ankhen hain aur ye astana hai
yahi tar-e-nafas ki amad-o-shud
jama-e-tan ka tana-bana hai
gale milna na go ki haath lage
lek manzur dil milana hai
naam anqa nishan tere ka
juun nagin dil men ashiyana hai
dost dushman sabhi hue hain tere
kya bura.i ka ab zamana hai
dil-e-gum-gashta ko main DhunDun kahan
na kahin Thor ne Thikana hai
hai divana ba-kar-e-ḳhud hoshyar
ye na samho ‘asar’ divana hai
Leave a Reply