be-karan vus.aton men tanha huun
ḳhaak par suraten banata huun
bazm men su-e-ittifaq ki main
us ke jaane ke baad aata huun
pyaas hai meri zindagi ka pata
main bhi ai rahguzar dariya huun
aur kuchh pal mujhe gavara kar
Dubti shaam ka tamasha huun
mere suraj tujhe ḳhabar bhi nahin
main tiri aas men hi zinda huun
ek daftar hai meri ḳhamoshi
jaane kya kya sunane aaya huun
mere imkan men hai us ka yaqin
jis ke hone ka isti.ara huun
Leave a Reply