baazi pe dil laga hai koi dil-lagi nahin
ye bhi hai koi baat kabhi haan kabhi nahin
jis ne kuchh ehtiyat javani men ki nahin
aql-e-salim kahti hai vo aadmi nahin
dil mango to javab hai un ka abhi nahin
goya abhi nahin ka hai matlab kabhi nahin
vaaiz ko laan-taan ki fursat hai kis tarah
puuri abhi khuda ki taraf lau lagi nahin
ashiq par un ka ek zara sa hai iltifat
aur vo bhi is tarah ki kabhi hai kabhi nahin
jaisa ki aap chahte hain shakhs pak-o-saf
aisa to shahr bhar men koi muttaqi nahin
tanha jiye to khaak jiye lutf kya liya
ai khizr ye to zindagi men zindagi nahin
ham sab hain rahgir tasadum ka kya sabab
duniya hai shahrah kuchh aisi gali nahin
dil men nashat aae to chehra ho tabnak
jab tak janab chand nahin chandni nahin
‘parvin’ jalao sham-e-amal gor ke liye
suraj ka nuur chand ke vahan chandni nahin
Leave a Reply