Bayan-E-Shauq Pe Mail Wo Kam-Nazar Honge

bayān-e-shauq pe maa.il vo kam-nazar hoñge

jo zabt-e-shauq kī lazzat se be-ḳhabar hoñge

lazīz ho to hikāyat darāz hotī hai

ham ahl-e-ġham ke fasāne to muḳhtasar hoñge

milegī ishq kī un meñ bhī kār-farmā.ī

vo hādse jo kisī aur naam par hoñge

khulā na thā ye kabhī raaz un kī qurbat meñ

ki duur ho ke vo mujh se qarīb-tar hoñge

tū āftāb-e-haqīqat kahīñ tulūa to ho

na ho sakeñ tire ham rū-ba-rū magar hoñge

jo gaa.e haiñ vahī naġhme bhī ḳhair mere haiñ

magar jo gā na sakā vo hasīn-tar hoñge

ab un kā zikr mirī guftugū meñ hai ‘maḳhmūr’

ab e’tirāz mirī baat baat par hoñge

Leave a Comment