hiran ka ek chhota bachcha
dariya ke kinare aa nikla
vahan pe ek batakh bhi thi
machhli se vo ye kahti thi
main to dariya men nahati huun
jab chahun main ud jaati huun
thak jaun main to baith rahun
jab chahun main sabze pe chalun
tum to dariya ki machhli ho
paani men rahti basti ho
tum meri tarah se chal na sako
tum meri tarah hil-jul na sako
tum meri tarah se aa na sako
tum meri tarah se ja na sako
ye baat suni ik saanp ne
ghusse se laga vo kanpne
vo bola kyuun majbur hai tu
kam-himmat hai majbur hai tu
yuun machhli ko shaikhi na dikha
kuchh himmat hai to samne aa
ab bol ki kya tu udti hai
aa chiil ke samne ud ke dikha
ab bol ki kya tu daudti hai
aa khargosh se race laga
ab bol ki kya tu tairti hai
aa tu machhli se pair mila
ab tu samjhi ab tu jaani
ye baten hain ani-jani
hai asal to ye kuchh kar ke dikha
duniya ye kahe kya khuub kiya
jo gur sikho puura sikho
jo kaam karo achchha hi karo
Leave a Reply