basti se duur ja ke koi ro raha hai kyuun
aur puchhta hai shahr tira so raha hai kyuun
rusva.iyon ka Dar hai na purshish ka ḳhauf hai
daman se apne dagh-e-vafa dho raha hai kyuun
kya lazzat-e-gunah se dil ashna nahin
sharminda mere haal pe tu ho raha hai kyuun
vo un ki dil-fareb dil-ara.iyan kahan
maazi ke ḳhauf-zar men ab kho raha hai kyuun
‘faruq’-ji ka kab koi pursan-e-hal tha
tanha.iyon ke ghaar men dil ro raha hai kyuun
Leave a Reply