bashir ‘badr’ ki ghazlen suna raha tha main
kal asman ko zamin par bula raha tha main
guzar raha tha main jab mai-kade ki rahon se
jigar ke haath se daman bacha raha tha main
ye baat sab ko bata.i thi mirza ghalib ne
bahar ghar men thi sahra uḌa raha tha main
tumhari yaad bhi chupke se aa ke baiTh ga.i
ghazal jo ‘mir’ ki ik gunguna raha tha main
udaas shaam nazar aa.i jaan ke jaisi
jab intizar men tere khaḌa raha tha main
vo amrita ki tarah mujh se ishq karti thi
so apne aap ko ‘sahir’ bata raha tha main
‘faraz’-o-‘faiz’ ke dilkash kalam ko paḌh kar
mohabbaton ka tariqa sikha raha tha main
‘majaz’ kaan men mere bata ga.e aa kar
ki kaise husn ko pagal bana raha tha main
‘shakil’ aazmi kahne lage paron ko khol
jo su-e-asman sar ko uTha raha tha main
ye baton baton men mujh ko bata ga.e ‘tanvir’
kal us ke haath ka kangan ghuma raha tha main
‘nida’ ne shahr men gaanv basa ke rakha tha
so un se milne usi gaanv ja raha tha main
lipaT ke rone lage mujh se sha.ir-e-mashriq
jab un ko qaum ki halat bata raha tha main
‘zafar’ bata.enge tum ko ya main bata.unga
ke mulk chhoḌ ke kis tarah ja raha tha main
ajab hi ḳhvab dikha.i diya mujhe ‘mohsin’
kal aftab ki mayyat uTha raha tha main
Leave a Reply